Monday, 31 December 2012

Kuch Karke Jana He.......

Zindagi Me Aye Hen To Qalb e Rijo Karke Jana He......
Ab Meri Shanakht Hogai,
Ab Teri Shanakht Karke Jana He...

Sunday, 23 December 2012

Phir Koi Na Tha.......

Meri Anso Ko Rokne Wala Koi Na Tha,
Meri Baton Ko Sunne Wala Koi Na Tha
Meri Hansi Pe Kabhi Dunia Hansa Karti Thi
Aj Meri Aj Sunne Wala Koi Na Tha...

Tuesday, 18 December 2012

Manzar Hota.....


Jaisa Mud Ho Wesa Manzar Hota He
Mousom Tu Insan Ke Andar Hota He.

Sunday, 16 December 2012

Kun Udhas Ho......

Kia Udhas Zindagi He Jo Guzar Rahi He,
Na Raat Me Kisi Ko Yaad Ate Hen..
Na Din Ko Koi Yaad Karta He.

Uske Ishq Se Phele.....

Uske Ishq Se Phele Tu Ne Bewafai Ki Nahi Thi,
Tera Ishq Maula Hogaya..
Mera Ishq Maula Hogaya..

Tuesday, 11 December 2012

Teri Ankhen Num Hen...

Teri Hansi Me Wo Nadamat Na Thi.
Mere Rone Phir Teri Ankhen Num Kun He....

Sunday, 9 December 2012

Mujhe Apna Lo.....

Roka Jo Tera Rasta Magar Phir Bhi Tu Na Badla
Mazilen Badal Lene Se Rasten Nahi Badla Karte

Thursday, 6 December 2012

Children Not Educated......

You know, more children die under the age of five when the parents are not educated.

Wednesday, 5 December 2012

Significant Problems.....

The significant problems we face cannot be solved at the same level of thinking we were at when we created them.

Monday, 26 November 2012

Mushkil Hojata He......

Zindagi Agar Kisi Or Ke Hathon Se Tote,
Phir Ise Jorna Buhat Mushkil Hojata He.
Taqdeer Ka Likha Kisi Maqsad Ke Liye Ho...
Par Yun Qistmat Ko Bhi Badalna Buhat Mushkil Hojata He.

Sunday, 25 November 2012

Raaz Milten Hen......

Do raaz milte hain
Hum raaz bante hain
Sannate aise hi
Awaaz bante hain

Friday, 23 November 2012

Koi Yahan Apna Nahi.......

Jin Logon Pe Hua Tha Aitibar Ek Roz
Unhi Pe Ja Tota Ye Bharosa Ek Roz
Hamari ZIndagi Ka Rukh Yun Mura Ek Roz
Parde Dal Kar Un Lamhon Me Age Bara Me Ek Roz
Hamari Umeedon Ko Tarq Kar Dala Unho Ne...
Jab Hum Ne Chura Un Manzilun Ko Ek Roz
Jin Logon Pe Hua Tha AItibar Ek Roz,
Unhi Pe Ja Tota Ye Bharosa EK Ros.

Tuesday, 20 November 2012

Kuch Baqi Hen......

Yun Zindagi Me Akela To Nahi Mar Sakta 
Ankhen Band Hone Se Phele Kuch Qasme Reh Jati Hen.

Sunday, 18 November 2012

Saqi Teri Ronaqen....

Saqi Tere Mekhane Me Ab Ronaqen Nahi Rahi
Mekhane Ke Age Masjiden Jo Abad Hogayen,

Saturday, 17 November 2012

Majboor Hun.....

In Dhuwaon Me Chupe Har Gham Ko Pehchanta Hun..
In Ghamo Ke Sahare Zindagi Jeena Totne Se Kam Nahi.

Friday, 16 November 2012

Hum Nayaab.e.Misaal Hen......

Hame Un Manzilun Par Lejane Wala Koi Na Tha,
Hum Ne Khud Ko Kutub.e.Ala Jo Samjha Hua Tha..

Hame Kun Tanha Chor Gaye......

Tareef To Sub Hi Karte He Dosti Ki,
Magar Koi Dosti Ka Hisaab Nahi Deta
Hum To Roz Sub Ko Yad Karte Hen..
Bus Hame Hi Koi Dil Se Yad Nahi Karta..

Wednesday, 14 November 2012

Me Tumhe Dekhta Hun.....

Na Teri Surat Dekhta Hun..
Na Teri Seerat Dekhta Hun..
Me To Bas Us Banane Wale Ke Kalam Ko Dekhta Hun.

Monday, 12 November 2012

Be Khata Kar LOg......

Horaha He Kiya Izafa Shehar Me,
Be Khata Logon Ki Qabron Ke Siwa
Kuch Bhi Akhbarat Me Chappta Nahi...
Marne Marane Ki Khabron Ke Siwa.

Sunday, 11 November 2012

Husun Ki Awargi......

Tere Husun Ki Tazgi Me Ab Wo Bat Nahi,
Wo Mere Husun Ki Misal Nayaab Karte Hen..

Saturday, 10 November 2012

Wapis Ajao.....

Hum Pe Hasne Wale...
Kabhi Hum Pe Roya Bhi Karte The,
Ab Ye Ankhen Unhe Dekhne Ke Liye Tarasti Hen

Friday, 9 November 2012

Me Afsorda Hun.....

Hazaron Gham Mere Seene Me Chube Hue Hen..
Lekin..!
Mene Har Hal Me Hasne Ki Qasam Khai Hui He.

Thursday, 8 November 2012

"Zafar's & Ghalib's Poetry"

GHALIB:Marte Hen Arzoo Me Marjane Ki...
                 Mout Ati He Par Nahi Ati.
ZAFAR:Marna Kon Chata He Is Dunia Me..
               Mout To Ati He Barwaqt Nahi Ati.
GHALIB:Mout Ka To Ek Din Moeen He.."Zafar"
                 Nend Mujhe Rat Bhar Kun Nahi Ati.
ZAFAR:Mout Ka Faisla Yun Kiya Nahi Karte.."Ghalib"
              Nend To Ati He Par Mout Se Phele Nahi Ati.

Tuesday, 6 November 2012

Tum Mere Ho....

Yun Tera Hasna Dunia Ki Nazar Me Ek Dikhawa Tha..
Par Wo Kiya Jane Ye To Mera Ek Sapna Tha.

Saturday, 3 November 2012

Me Akeli Hun..

Khai Hen Bari Thokaren Un Manzilun Pe
Jab Sath Chora Doston Ne Mera Hath Pakar Kar.

Tuesday, 30 October 2012

Kuch Irada Nahi Tha.....

Tere Labon Ko Chona Mera Irada Nahi Tha
Teri Hansi Ko Rukna Mera Irada Nahi Tha
Tu Roye Agar To Mujhe Aitiraz He.....
Par Tere In Anso Ko Pochna..
Mera Irada Nahi Tha..!

Monday, 29 October 2012

Mera Humsafer...

Sath Chalne Se Koi Humsafer Nahi Hota..
Lekin!Meri Manzil Tak Sirf Tera Saya Hi Tha.

Hume Nahi Pata Tha.....

Nazren Jhuka Lete Hen.Hum Unki Surat Dekh Kar,
Hume Nahi Pata Tha..!Wo Bewafa Aj Bhi Zinda He..

Sunday, 28 October 2012

Kese Hen Log.....

Hota Nahi Qismat Me Jo Dekha Dete Hen Log
Karte Hen Baten Bari Bari Jo Bata Dete Hen Log.

Saturday, 27 October 2012

Ji Chata He....

Teri Ankho Me Ghom Hojane Ko Ji Chata He,
Par!Teri Ankho Me Anso Ke Siwa Or Kuch Nahi

Friday, 26 October 2012

Me Bata Nahi Sakti......

Badal Gayi Wo Qismat Ji Dekha Nahi Sakti
Hogaye Wo Ruswa Jo Bata Nahi Sakti
Chale To The Hum Sare Ek Manzil Ki Janib,
Phir!Badal Gaye Wo Sathi Jinhe Me Bhula Nahi Sakti.


Kun Bataya Tum Ne.....

Hota Nahi Qismat Me Jo. Wo Dekha Dete Hen Log
Karte Hen Wo Bari Bari Baten Jo Bata Dete Hen Log.

Me Kahan Hun.....

Basti Basti Ghom Chuke He Kab Apna Virana Hoga..
Ek Nayi Ab Mehfil Sajegi. Ek Naya Yarana Hoga

Ab Wo Bat Nahi Rahi.....

Ae Rahe Shoq Fiqar Me Ab Wo Nudrat Nahi Rahi
Lafzon Ki Ab Wo Phele Se Hurmat Nahi Rahi

Mujhe Nahi He Kisi Ka Ghum..

Logon Ko Logon Se Zakham e Dil Ka Chupana To Agaya
Mehfil Me To Hum Ko Hath Milana To Agaya..
Mujhko Nahi He Apna Makan Totne Ka Ghum
Meri Nazar Me Ab Sara Zamana Bhi Agaya

Thursday, 25 October 2012

Tanhai Me Rona Chati Hun.....

Teri Ankho Me Ghum Hojana Chata Hun
Teri Palkhon Pe Sojana Chata Hun
Roye Jo Tu Tanhai Me In Raton Ko
Me In Raton Me Jag Jag Kar.....
Ye Anso Pi Jana Chata Hun.

Bichar Jane Se Phele.....

Simat Ti Hun Bikhar Jane Se Phele
Ujarti Hun Sanwar Jane Se Phele
Hame Wo Be..Daro Deewar Lamhe..
Buhat Yad Aye Ghar JAne Se Phele
Jo Wadon De Mukarte Hi Rahe Hen
Nahi Lagta Mukar Jane Se Phele,,
Tumhe Ehsas Hona Chaye Tha....!
Mere Dil Se Utar Jane Se Phele..

Wednesday, 24 October 2012

Tota Hua Dil....

Jurte Hue Dekha Nahi Tote Hue Dil Ko,
Gir Jayen Jo Anso,To Uthaye Nahi Jate

Kun Be.Khabar Ho.....

Tuum Bhi Apne Apse Ghafil Na Hote Agar...
Me Bhi Phir Tumse Kuch Itna Be.Khabar Hota Nahi.

Kahan Chale Gaye.....

Ye To Ek Fitri Taqaza He Ke Tum Chahe Gaye
Har Muhabbat Karne Wala Mutabar Nahi Hota.

Saturday, 20 October 2012

Unko Wafa Pe Chor Diya.....

Chiragh Hum Ne Jala Ke Hawa Pe Chor Diya
Ab Usse Bat Kiye Begair Kese Rahenge Hum!
Ye Masla Dua Ka Tha Is Liye Dua Pe Chor DIya
Is Liye To Kehte Hen Wo Hum Ko Dewana
Ke..Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya


Be Noor Fiza He......

Be Noor Si Lagti He Us Be Char Ki Ye Fiza
Ab Chiragh To Jalte Hen Magar Ujala Nahi Karte

Friday, 19 October 2012

Wada To Kiya Hota......

Hum Kismat Ki Lakeron Se Tumhe Chura Lete..
Bas! Ek Bar Mera Hone Ka Wada To Kiya Hota..

Thursday, 18 October 2012

Ab Wo Bat Nahi.....

Girte Sitaron Me Ab Wo Bat Nahi.
Ab Unke Isharon Me Wo Bat Nahi.
Kitna Mayoos Tha Me Unki Judai Me.
Ab Unki Bewafai Me Wo Bat Nahi.
Rona..! To Ab Unki Bat Nahi
Rota Hua Dekhna Wo Hamare Bas Me Nahi

Tuesday, 16 October 2012

Kun Rasta Badal Liya.....

Meri Tarakki Dekh Kar Unho Ne Apna Mun Pher Liya..
Meri Manzil Dekh Kar Unho Ne Apna Rasta Badal Liya..

Me Kahan Hun.....

Zindagi Tujhse Talluq Is Qadar Hota Nahi,
Hum Kahen Jayen Hamare Sath Ghar Hota Nahi..

Sunday, 14 October 2012

Mujhe Maloom He....

Mujhe Maloom He. Tabeer Nahi Rakh Sakta.
Apne Ankho Me Naye Khawab Rakhta Hun..

Me Darti Nahi......

Me Shab e Gham Se Darti Nahi,,
Par! Zindagi Ke Liye Ek Sada Shajar Rakhti Hun..

Ranjo Gham.....

Kabhi Ranjo Gham Ko Ruswa Na Karna..
Utha Lena Anso Par Khafa Mat Karna.

Monday, 8 October 2012

Mayoosi He Bas....

Hojate Hen Mayoos Wo Apni Hi Khushi Me,
Karta Kon He Is Dunia Me Ghafil Kisi Ko..