Wo khud milne nahi aya to uske ghar gya me
hade maloom thi lekin tajaus kargya me
andhera raste me door tak phela hua tha
nahi maloom kitni door pe manzar gaya me
muhabat se zarurat kuch ziada khencti hai
use ghar pe akela chor kar daftar gya me
abhi tak to had e shehar janoon ki tee nahi hai
kahin bahar na reh jaun agar andar gya me
mere Charon taraf nafrat ka pheh ra lag chukka tha"HASAN"
magar kisi bhi soorat muhabbat kar gya me.