Tuesday, 15 January 2013

Tumse Ek Umeed Rakhte Hen.....

Adawat e Dushmani Karli Ab Tumne Mujhse.....
Magar! Phir Bhi Hum Tumse Dosti Ki Umeed Rakhte Hen.

Friday, 11 January 2013

Me Phir Milunga.....

Ranjish Hai Agar Dill Me Koi. To Khul Kar Gila Karo,
Main Aesa Shakhs Hun Phir Bhi Hamesha Hans Kar Milunga..

Mujhe Talash ha.....

Jiski Talaash Hai Usko Pata Hi Nahi,
 Hamari Chahat Ko Usne Samjha Hi Nahi,
 Hum Poochte Rahe Ke Kya Tumhe Humse Piyar Hai ,
 Woh Kehte Rahe Ki Unhe Pata Nahi . . .

Thursday, 10 January 2013

Pachtawa Ha....

Apne Kiye Pe Pachtawa Ha...
         Dost
Zindagi Se To Kuch Mila Nahi,
Shayed Dost Hi Kuch De Jaye....

Sunday, 6 January 2013

Meri Adaten.....

Meri Ye Adat Nahi K Kisi Ko Hal-E-Dil .Sunao",
Par Takleef Bhi Buhat Milti Hai Raaz- E-Dil Chupane Se..

Chalo Phir Dhond Len......

Chalo phir Dhond laein Hum
Usi Masoom Bachpan ko
Unhi Masoom Khushiyo ko

Uhi Rangeen Lamhon ko
Jaha Ghum ka pata na tha
Jaha dukh ki samjh na thi
Jaha bus Muskrahat thi
Baharein hi Baharein thi
Chalo phir dhond laein Hum
Usi masoom bachpan ko k jab
Sawan Barasta tha


To us kagaz ki kashti ko
Bana'na aur Duba dena
Bhot acha lagta tha
Aur is duniya ka hr chehra
Bhot sacha sa lagta tha
Chalo phir dhond laein HUM.

Kuch Yad Kro........

Anso Ka Istimal Tu Kisi Gham Me Kiya Kar
Yun Ise Har Dafa Istimal Karke Roya Na Kar
Teri Manzil Tujhe Milna Mushkil Ho Magar..!
Meri Manzilun Ko Meri Anso Se Pehchan Lia Kar...